25/8/2000
Inteja ki hai aapne, ab aap sunke jaaiye,
Mere gum main kuchh apne bhi aansu bahake jaaiye
Kuchh hua aisa saath humaare ke bayaan karna bhi mushkil hai,
Jo rishta abhi bana hi tha, woh ab beeta kal hai
Baki ki fazaa puchiye in behtey ashkon se,
Ashq bhi kahenge, aankhon se nahin, beh rahein hain hum dil se.
2/9/2000
Kasam hai aapko, mudkar na dekhiye
Is se pehle ke aansu gire, aap chale jaaiye
24/8/2000
Yun na laao tabassum ke silsilay labon par tum,
nahin to afsana ban jayega
Jo dil tha abhi tak is paar had ke, us paar ho jaayega
Dec 2000
Aapki mohabbat mein aise uljhe zaalim, ke ye tak na khabar rahi kya galat hai kya sahi
Aap kehte hain hain hum aap pe yakeen karein jabke janaab humein khud pe bhi yakeen nahin
Ab hum itne nadaan nahin ki halki si muskurahat ko iqraar samjhein
Na hi hum mein ab itni taaqat hai ki tumhaare ishq mein fir se uljhein
Khayalon ki dor se mohabbat ki patang udaane chala tha
Udaate udaate nafrat se bhi dosti karne chala tha
Phir aisa jhatka laga ke dor tooti majhdar mein
Dekha haath mein kucch toote sapne the
Patang door gagan mein udte udte dhundhla dikhne laga
Kucch badhti doori ki wajah se aur kucch aankon ki nami ki wajah se
Aadmiyon ke shor mein itni gumsumi kyon hai?
Wohi bol hain, wohi geet hai, fir saaz alag kyon hai?
Wohi mausam hai, wohi pal hai, fir ye maayusi kyon hai?
Wohi aalam hai, wohi tum ho, fir hum hum kyon nahin hain?
Aamne Saamne baithkar aankhein guftagu mein uljhe ho jab to alfaaz kise
chahiye
Yahaan to do lamhon mein lambi daastanein bayaan hoti hain, us se zyaada
waqt kise chahiye
20/04/2005
Pal pal tujhse chand baaton ke liye tarse mera dil
Aisa kyun lage ki tum bin soona soona sa hai mehfil
Talaashe bahaane sau sau bas ik baar aur milne ki
Kahin ye ishq to nahin, kya yehi fitrat hai pyaar ki?
Bahut muddat ke baad fir pehchaan hui is ehsaas se
Jo mitaye na mite bujhaye na bujhe, ek aisi pyaas se
Dard aur ranjish dene ke bawajood dil ko behlaaye jo
Chehra tumhara din raat khwabon mein dikhlaye jo
Tere deedaar ki hasrat liye galiyon mein tumhare nikal pade
Dekha udhar hum akele nahin, parvaney aur bhi bahut khade
Ab ilzaam unko kya doon, ye to tumhari lataafat ka asar hai
Jispe main khud to kya, khuda aur saari khudai bhi kurbaan hai
June-July 2005
Ailaan karni nahin aati humein, chupke ishq karne waalon mein hain hum
Mohabbat beshumaar kartein hain, kehne se lekin darte hain hum
Khamosh rehkar aah bharte hain, Bina bataaye dil-o-jaan lutaate hain hum
Chipana dil-e-haalat koi hum se seekhein, hanste aasoon chalkate hain hum
Aap poochte hain yeh kahaan ka insaaf hai, kya karein thode aise hi hain hum
Bahut hansta hoon aaj main doston apni tar aankhon ko cchupane ke liye
Jashn manata hoon, jaam uthata hoon tujhe khone ka gam bhulane ke liye
Bahut baar jiya hun main, un chaar palon ko jo guzaare the saath tumhare
Phir bahut baar piya hun main, unhi chaar palon ko bhulane ki chaah mein
Poochtey hain dost mujhse wo kaisi hai dikhti kaisi hai lagti
Manchali, chulbuli, natkhati, bulbuli, saadgi mein lipti
Sapnon mein aati par aankh khulne tak na tikti
Meethi seedhi sacchi baaton se apni sabhiko lubhati
Pyari nakhron se dilon ko behlati wo phirti
Poochtey hain dost mujhse wo kaisi hai dikhti kaisi hai lagti
….to be completed……..
15/05/2005
Mohabbat ki duniya mein nainsaafi ki shikayat na kar
Ishq kar tu behisaab, badle mein ishq ki kwaahish na kar
Maanta hoon main dil thoda khudgarz hai, sambahalne ko keh ise zaraa
Ke aayenge teri raaohon mein aur raaheen abhi, tu unki raahon ko tak zaraa
28/08/2005
Jab jab poocchtey ho ke dil mein kaun hai mere to kaise kahoon
Izhaar ke alfaaz jab lab tak aakar rukne lage to kaise kahoon
Laga hai kai baar aisa ke jab khabar hai tujhko to kehna kya
Phir jab khabar hai hi tujhko bhi to kahe bina rehna bhi kya
Kya kahein (ghazal) 29/08/2005
Alfaaz-e-iqraar jab lab tak aa aakar rukne lage to kya kahein
Poochein aap jab jab ke hai kya dil-e-aarzoo to kya kahein
Jis ishq ki rangat ko ghairon tak ne mehsoos kiya aye ghafil
Bayaan na kar saki use humari andaaze-e-guftagoo to kya kahein
[Ghafil=ignorant]
Khabar tak nahin aapko, aap hi ki shaksiyat ke hain ham maddaah
Ab agar kahein bhi ke aap hi hain humari justujoo to kya kahein,
[Maddaah = admirer]
Shukriya 06/09/2005
Jis haqeeqat ko na keh paaye hazaaron koshishon ke bawajood
Keh paaye use, hosla afzai ka bahut shukriyaa
Phir armanon ki baraat nikle ya janaaza, aapki har khwaahish sar aankhon par
har faisley ka ada karenge hum shukriya
Is umeed pe yaadein zinda rakhenge aapki ke slia wafaaon ka dengi wafaa se
Aur gar humari ishq mein koi kami lagi aapko to behijaab keh deejiye
Is meharbani ka bhi hum maanenge shukriya
Tum chup kyun ho (29-30 Sep 2005)
Mehfil mein naam kisika le rahe the tumhara naam lab pe aaya
Sooni raahon pe jab jab mudke dekha to tera hi saaya paaya
Itna bataao ke samjhkar nasamajhi ka nakaab odhe kyun ho?
Jab hum keh chuke apni chaahat ke baare mein, tum chup kyun ho?
Kucch arz kartey hain jab to tareef ke bol barsaati ho har dam
Yeh sochti to hogi tum, kya kasak hai? kiske liye likhte hain hum
Itni khabar to hogi tumko phir yu'un khaamosh gumsum kyun ho?
Aankhein keh rahi hain sab jab, tum itni chup kyuun ho?
Kam sotey hain, kam khaatey hain, tum is baat pe bahut bigadti ho
Sochta hoon mein, sochte-sochte hansta hoon, koi chaahat agar na ho
Yu'un zindagi sawarney mein meri, tum itni magan kyun ho?
Ab kehdo, kehdo na ki chaahat hai tumko bhi, aaj tum itni chup kyun ho?
21 Oct 2005
Jis mehmaan ke liye mezbaan bane, mehfil sajaayi
Dar par khade rahe, darbaan bankar jiski raah taki
Kooche mein mere, woh hain aakhir tashreef laayeen
Roshni to pehle bhi thi, asli rounak to ab hai aayee
Kis mehmaan ke liye mezbaan bane, mehfil bulaayi, zara gaur keejiye
Dil-nawaazi ka na sahi, huzoor, mehmaan-nawaazi ka to mouka deejiye
Song (25 Oct 2005)
Hota hai yun, aisa waisa, zindagi mein kai baar
Ghabra na tu, thodi si pee, masti mein reh, mere yaar
Dil ko cchot lag chuki ho jab
Saansen tham ne lagi hon jab
Thoda sa roke, phir tu has le
Thodi si peeke, phir tu jeele
Lagne lage jab, yahan nahin hai, tera koi, apnaa
Yaad rakh tu, jeene ka maksad, ho sakta hai, ik sapna
Seene mein, aag lag chuki ho jab
Dard se dil phatne lage ho jab
Thoda sa roke, phir tu has le
Thodi si peeke, phir tu jeele
Tere dil ki kashmakash (Oct 11)
Sunkar tere dil ki kashmakash mujhse raha na gaya
Muskurahaton mein itna dard samete ho, jaankar saha na gaya
Man kiya ke maatha choomoo, dard ho sake to kuchh baantoon
Lekin kis haq se sehlaaoon tujhko, kis rishte ka farz nibhaoon
Tere ashkon ki keemat na samjhe, honge auron ke ishq itne beparwaah
Haseen palon ko jo ho sakte hain humare, tu unke naam pe to na thukra
Kasam teri, mere haath mein apna haath ek baar to dekh dekar
Phir na chodoonga haath tera chahe le aaye zamaana khuda ko lekar
Kaagaz aur kalam se haal-e-dil likh baithe
Teri waah-waahi ke liye ek gazal aur likh baithe
Khafaa hongi yeh kya maloom tha humein
Jazabaaton mein behkar ek gustakhi aur kar baithe
Kyun?
Mere jasbaaton ki kadar hai tumhein, kyun jata rahi ho?
Shehar se ruksat hote-hote kyun ik dilaasa diye ja rahi ho?
Dinon mahinon se dil mein sulag rahi thi jo
Kyun us aag ko ko hawa diye ja rahi ho?
3/12/05
Raat ke sannate mein dil ki dhadkoanon ki aawaz
Na jaane dil, hai yeh ishq ka anjaam ya aagaaz
Dil ki dhadkanon mein gin raha hoon pal intezaar ke
Khiza ka mausam hai, main dhoondta hoon din bahaar ke
Na jaanu main ke aayenge bhi ke nahin
Sunhare din iqraar ke, izhaar ke
Mujhe shaayar banane ka shukriya
Mujhe aashiq banane ka shukriya
Ishq mein kis gehraayi tak jaa sakta hoon, yeh maloom mujhe bhi na tha
Mujhe ‘khud’ se milaane ka shukriya
(31/12/2005)
![](http://photos1.blogger.com/blogger/6735/3310/320/image002.jpg)
25/01/06
Chiraag-e-rehguzar aaftaab-e-zindagi kyun nahin ban sake?
Aye humkhayaal humraaz, humraah kyun nahin ban sake?
Kyun ik dafaa dilaasa dekar chaahat jataakar mukar gaye?
Kyun Humdard bane, humjalees bane, par humsafar bante reh gaye?
[Chiraag-e-rehguzar = a lamp in the pathway, aaftaab = sun]
Yeh sawaal uthte hain zehen mein mere sailaab bankar
Jawaab hai bhi ke nahin inke, yeh mukhko nahin khabar
Kabhi sochta hoon main ke tumko khud nahin hai pata
Chaahat shaayad tumko bhi hai, bas is aehsaas se ho laapata
24/02/06
Tu nahin saamne to kya, teri yaadon se chaahat si ho gayi hai.
Haqueeqat se bair nahi magar, humein nashe ki aadat si hogayi hai
19/04/2006
Yeh mujhe kya khabar thi ki itna magroor tha
Tujhse zyaada mujhe apne ishq pe guroor tha
Kya bataaoon ki ishq mein tha behak sa gaya
Thoda tera saroor, baki mausam ka kasoor tha
Khata meri yehi thi ki patthar ke naam dil kar gaya
Jo khwab mein bhi na socha tha, who kaam kar gaya
Naadan tha main, apne ishq pe bahut naaz tha mujjko
Bekhudi mein wafaa ki ummeed bewafaa se kar gaya
4/05/2006
Hasrat to meri bhi hai ke tera ik dafaa deedaar karoon
Ke tere chehre ko apni nigaahon mein giraftaar karoon
Bahut tanha guzar raheen hain zindagi ke pal mere
Man karta hai ki tumse milkar unhein yaadgaar karoon
0 comments:
Post a Comment